maine usko barf dinon mein dekha tha
maiñ ne us ko barf dinoñ meñ dekhā thā
us kā chehra sūraj jaisā lagtā thā
yuuñ bhī nazreñ aapas meñ mil letī thiiñ
vo bhī pahroñ chāñd ko taktā rahtā thā
vo galiyāñ vo raste kitne achchhe the
jab vo nañge paañv ghūmā kartā thā
chāroñ-jānib us kī ḳhushbū bikhrī thī
hijr kā ik mausam bhī us ke jaisā thā
duur kahīñ āvāz ke ghuñghrū bajte the
aur maiñ kaan lagā.e suntā rahtā thā
sabz rutoñ meñ aksar mujh ko yaad aayā
us ne ḳhat meñ sūkhā pattā bhejā thā
main ne us ko barf dinon mein dekha tha
us ka chehra suraj jaisa lagta tha
yun bhi nazren aapas mein mil leti thin
wo bhi pahron chand ko takta rahta tha
wo galiyan wo raste kitne achchhe the
jab wo nange panw ghuma karta tha
chaaron-jaanib us ki KHushbu bikhri thi
hijr ka ek mausam bhi us ke jaisa tha
dur kahin aawaz ke ghunghru bajte the
aur main kan lagae sunta rahta tha
sabz ruton mein aksar mujh ko yaad aaya
us ne KHat mein sukha patta bheja tha
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 9)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.