maine usi se hath milaya tha aur bas
maiñ ne usī se haath milāyā thā aur bas
vo shaḳhs jo azal se parāyā thā aur bas
lambā safar thā ābla-pā.ī thī dhuup thī
maiñ thā tumhārī yaad kā saaya thā aur bas
hadd-e-nigāh chār-sū kirnoñ kā raqs thā
pahlū meñ chāñd jhiil ke aayā thā aur bas
ik bheḌiyā thā dostī kī khaal meñ chhupā
is ne mire vajūd ko khāyā thā aur bas
phir yuuñ huā havā.eñ thiiñ raqsāñ tamām-rāt
ik tāqche meñ diip jalāyā thā aur bas
donoñ taraf kī ranjisheñ ashkoñ meñ bah ga.iiñ
ik shaḳhs mere ḳhvāb meñ aayā thā aur bas
is kārzār-e-zīst meñ ham ne tamām-umr
'arshad' kisī kā ishq kamāyā thā aur bas
main ne usi se hath milaya tha aur bas
wo shaKHs jo azal se paraya tha aur bas
lamba safar tha aabla-pai thi dhup thi
main tha tumhaari yaad ka saya tha aur bas
hadd-e-nigah chaar-su kirnon ka raqs tha
pahlu mein chand jhil ke aaya tha aur bas
ek bheDiya tha dosti ki khaal mein chhupa
is ne mere wajud ko khaya tha aur bas
phir yun hua hawaen thin raqsan tamam-raat
ek taqche mein dip jalaya tha aur bas
donon taraf ki ranjishen ashkon mein bah gain
ek shaKHs mere KHwab mein aaya tha aur bas
is karzar-e-zist mein hum ne tamam-umr
'arshad' kisi ka ishq kamaya tha aur bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.