main paDa hun mai-kade mein botalon ke darmiyan
maiñ paḌā huuñ mai-kade meñ botaloñ ke darmiyāñ
jabki rahnā chāhtā thā dostoñ ke darmiyāñ
aisā lagtā hai ki jaise zindagī kī shaam hai
aap chal kar aa gayā huuñ qātiloñ ke darmiyāñ
is liye hai laash merī jhāḌiyoñ ke saa.e meñ
kuchh mire hamdard bhī the dushmanoñ ke darmiyāñ
vaqt kī aarī chalī to zindagī se kaT ga.e
ham daraḳhtoñ kī tarah the panchhiyoñ ke darmiyāñ
pāniyoñ se duur maarā jā rahā huuñ 'shāhdil'
be-vatan be-āsrā maiñ kūfiyoñ ke darmiyāñ
main paDa hun mai-kade mein botalon ke darmiyan
jabki rahna chahta tha doston ke darmiyan
aisa lagta hai ki jaise zindagi ki sham hai
aap chal kar aa gaya hun qatilon ke darmiyan
is liye hai lash meri jhaDiyon ke sae mein
kuchh mere hamdard bhi the dushmanon ke darmiyan
waqt ki aari chali to zindagi se kaT gae
hum daraKHton ki tarah the panchhiyon ke darmiyan
paniyon se dur mara ja raha hun 'shahdil'
be-watan be-asra main kufiyon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.