main pahle barf sa thoDa pighal ke dekhunga
maiñ pahle barf sā thoḌā pighal ke dekhūñgā
agar vo aag hai to us meñ jal ke dekhūñgā
pata mujhe bhī hai manzil nahīñ milegī ab
par ek baar to rasta badal ke dekhūñgā
abhī to hosh hai girnā hai kyā sambhalnā kyā
qadam bahakne lageñ phir sambhal ke dekhūñgā
kahe haiñ log use intizār hai merā
galī se us kī kisī din nikal ke dekhūñgā
sunā hai mere na rahne kā ġham use bhī hai
kisī bahāne se us se maiñ mil ke dekhūñgā
main pahle barf sa thoDa pighal ke dekhunga
agar wo aag hai to us mein jal ke dekhunga
pata mujhe bhi hai manzil nahin milegi ab
par ek bar to rasta badal ke dekhunga
abhi to hosh hai girna hai kya sambhalna kya
qadam bahakne lagen phir sambhal ke dekhunga
kahe hain log use intizar hai mera
gali se us ki kisi din nikal ke dekhunga
suna hai mere na rahne ka gham use bhi hai
kisi bahane se us se main mil ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.