main pahle dil ke liye hausla banata hun
maiñ pahle dil ke liye hausla banātā huuñ
phir us ke ba.ad koī aasrā banātā huuñ
maiñ be-murād nazar aa rahā huuñ logoñ ko
maiñ dūsroñ ke liye rāsta banātā huuñ
maiñ māntā bhī nahīñ koī kārsāz bhī hai
magar zamīñ pe bahut se ḳhudā banātā huuñ
agar hijāb na hotā to sab se kah detā
maiñ kaise hijr ko lazzat-fazā banātā huuñ
zamāne bhar ke añdheroñ se jang hotī hai
maiñ raushnī ke liye jab diyā banātā huuñ
ye shahr-e-ishq mire vāste nayā hai miyāñ
ab aayā huuñ to koī silsila banātā huuñ
main pahle dil ke liye hausla banata hun
phir us ke baad koi aasra banata hun
main be-murad nazar aa raha hun logon ko
main dusron ke liye rasta banata hun
main manta bhi nahin koi karsaz bhi hai
magar zamin pe bahut se KHuda banata hun
agar hijab na hota to sab se kah deta
main kaise hijr ko lazzat-faza banata hun
zamane bhar ke andheron se jang hoti hai
main raushni ke liye jab diya banata hun
ye shahr-e-ishq mere waste naya hai miyan
ab aaya hun to koi silsila banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.