main pahle to bahut baadal banata
maiñ pahle to bahut bādal banātā
phir is ke baad ik jañgal banātā
agar hotā maiñ kūza-gar tumhārā
bachī miTTī se phir sandal banātā
use tum pair se lagne na detī
agar hāthoñ se maiñ paa.el banātā
banāyā thā tujhe āñkhoñ kā aañsū
hameñ bhī yaar tū kājal banātā
tumheñ daldal banā rakkhā hai us ne
maiñ jo hotā na to maḳhmal banātā
na kī ā.īne se tārīf maiñ ne
amā pāgal ko kyā pāgal banātā
main pahle to bahut baadal banata
phir is ke baad ek jangal banata
agar hota main kuza-gar tumhaara
bachi miTTi se phir sandal banata
use tum pair se lagne na deti
agar hathon se main pael banata
banaya tha tujhe aankhon ka aansu
hamein bhi yar tu kajal banata
tumhein daldal bana rakkha hai us ne
main jo hota na to maKHmal banata
na ki aaine se tarif main ne
ama pagal ko kya pagal banata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.