main parbat hun wo rai ki tarah hai
maiñ parbat huuñ vo raa.ī kī tarah hai
hamāre biich khaa.ī kī tarah hai
Thanī jis se laḌā.ī kī tarah hai
vo bilkul mere bhaa.ī kī tarah hai
sulūk ehsās kā jaañ se hamārī
kisī kī bevafā.ī kī tarah hai
nahīñ kul apnī ye fasl-e-tamannā
zamīn-e-dil baTā.ī kī tarah hai
amīr-e-shahr kī ūñchī 'imārat
mirī TuuTī chatā.ī kī tarah hai
ta'āruf chehra-e-zohra-jabīñ kā
kutub kī rū-numā.ī kī tarah hai
pas-e-dād-e-suḳhan ai 'badr'-e-pinhāñ
koī shai ham-navā.ī kī tarah hai
main parbat hun wo rai ki tarah hai
hamare bich khai ki tarah hai
Thani jis se laDai ki tarah hai
wo bilkul mere bhai ki tarah hai
suluk ehsas ka jaan se hamari
kisi ki bewafai ki tarah hai
nahin kul apni ye fasl-e-tamanna
zamin-e-dil baTai ki tarah hai
amir-e-shahr ki unchi 'imarat
meri TuTi chatai ki tarah hai
ta'aruf chehra-e-zohra-jabin ka
kutub ki ru-numai ki tarah hai
pas-e-dad-e-suKHan ai 'badr'-e-pinhan
koi shai ham-nawai ki tarah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.