main pasti-e-aKHlaq-e-bashar dekh raha hun
main pasti-e-aKHlaq-e-bashar dekh raha hun
Abdul Majeed Manzar Murtajapuri
MORE BYAbdul Majeed Manzar Murtajapuri
maiñ pastī-e-aḳhlāq-e-bashar dekh rahā huuñ
phir nazm-e-jahāñ zer-o-zabar dekh rahā huuñ
mazlūm kī aahoñ kā guzar dekh rahā huuñ
go duur bahut bāb-e-asar dekh rahā huuñ
maqsad ye shahīdān-e-vatan kā na thā hargiz
jo aaj shahādat kā samar dekh rahā huuñ
yuuñ to hai har ik jins garāñ hind meñ lekin
arzāñ hai faqat ḳhūn-e-bashar dekh rahā huuñ
ġhunchoñ ke laboñ par kahāñ āsār-e-tabassum
har gul kā yahāñ chāk-e-jigar dekh rahā huuñ
sach hai kisī majbūr kī fariyād ko 'manzar'
dekhā nahīñ jaatā hai magar dekh rahā huuñ
main pasti-e-aKHlaq-e-bashar dekh raha hun
phir nazm-e-jahan zer-o-zabar dekh raha hun
mazlum ki aahon ka guzar dekh raha hun
go dur bahut bab-e-asar dekh raha hun
maqsad ye shahidan-e-watan ka na tha hargiz
jo aaj shahadat ka samar dekh raha hun
yun to hai har ek jins garan hind mein lekin
arzan hai faqat KHun-e-bashar dekh raha hun
ghunchon ke labon par kahan aasar-e-tabassum
har gul ka yahan chaak-e-jigar dekh raha hun
sach hai kisi majbur ki fariyaad ko 'manzar'
dekha nahin jata hai magar dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.