main por por talak ishq mein nikharne laga
maiñ por por talak ishq meñ nikharne lagā
tirā visāl mohabbat meñ rang bharne lagā
tabhī se mere buzurgoñ ko fikr hone lagī
maiñ ek din meñ ka.ī baar jab sañvarne lagā
mazā ḳhulūs meñ hotā hai guftugū meñ nahīñ
jise samajh nahīñ aa.ī vo baat karne lagā
vo jitnī der se Duubā mirī mohabbat meñ
maiñ utnā jald hī ash.ār meñ ubharne lagā
hamārā saath nibhā.e vo kaise mumkin hai
jo apne ḳhuun ke rishtoñ se bhī mukarne lagā
har ek lafz kī āñkhoñ se ashk bahne lage
sune ko an-sunā kar ke koī guzarne lagā
havā-e-hijr ne har naqsh jab miTā Daalā
to ek din tirā 'shahbāz' bhī bikharne lagā
main por por talak ishq mein nikharne laga
tera visal mohabbat mein rang bharne laga
tabhi se mere buzurgon ko fikr hone lagi
main ek din mein kai bar jab sanwarne laga
maza KHulus mein hota hai guftugu mein nahin
jise samajh nahin aai wo baat karne laga
wo jitni der se Duba meri mohabbat mein
main utna jald hi ashaar mein ubharne laga
hamara sath nibhae wo kaise mumkin hai
jo apne KHun ke rishton se bhi mukarne laga
har ek lafz ki aankhon se ashk bahne lage
sune ko an-suna kar ke koi guzarne laga
hawa-e-hijr ne har naqsh jab miTa Dala
to ek din tera 'shahbaz' bhi bikharne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.