main pujari tha magar mera koi mandar na tha
maiñ pujārī thā magar merā koī mandar na thā
jo bhī thā pahlū meñ mere vo mirā dilbar na thā
kis qadar dilkash lagīñ sapne meñ galiyāñ shahr kī
khul ga.ī jab aañkh to phir vo hasīñ manzar na thā
jaane kyā shai dil ke ā.īne ke TukḌe kar ga.ī
dekhne meñ us ke hāthoñ meñ koī patthar na thā
bad-havāsī thī mirī yā tujh se milne kī lagan
jis pe dastak de rahā thā maiñ vo terā ghar na thā
baiThe baiThe yuuñ lagā jaise pukāre tū mujhe
khol kar dekhā jo darvāza koī bāhar na thā
vo to thā shāyad koī 'betāb' patthar kā badan
chhū ke dekhā thā jise maiñ ne tirā paikar na thā
main pujari tha magar mera koi mandar na tha
jo bhi tha pahlu mein mere wo mera dilbar na tha
kis qadar dilkash lagin sapne mein galiyan shahr ki
khul gai jab aankh to phir wo hasin manzar na tha
jaane kya shai dil ke aaine ke TukDe kar gai
dekhne mein us ke hathon mein koi patthar na tha
bad-hawasi thi meri ya tujh se milne ki lagan
jis pe dastak de raha tha main wo tera ghar na tha
baiThe baiThe yun laga jaise pukare tu mujhe
khol kar dekha jo darwaza koi bahar na tha
wo to tha shayad koi 'betab' patthar ka badan
chhu ke dekha tha jise main ne tera paikar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.