main raaz-e-gham-e-ishq se begana nahin hun
maiñ rāz-e-ġham-e-ishq se begāna nahīñ huuñ
dīvāna mujhe kahte haiñ dīvāna nahīñ huuñ
aisā huuñ piyāla jo mohabbat se hai labrez
bhar kar jo chhalak jaa.e vo paimāna nahīñ huuñ
vo soz-e-mohabbat huuñ jo pinhāñ rahe dil meñ
aa jaa.e jo lab par maiñ vo afsāna nahīñ huuñ
maiñ ārzū-e-dīd meñ ghultā huuñ shab-o-roz
jo sham.a pe jal jaa.e vo parvāna nahīñ huuñ
ab jāda-e-ulfat meñ junūñ rāh-numā hai
gum-gashta-e-manzil ho vo farzāna nahīñ huuñ
pur-kaif mai-e-ishq se paimāna-e-dil hai
sad-shukr ki ab tishna-e-ḳhum-ḳhāna nahīñ huuñ
dāġh-e-dil-e-majrūh hai ham-rang-e-gulistāñ
jalvoñ kā ḳhazāna huuñ maiñ vīrāna nahīñ huuñ
ḳhud qalb mirā jalva-gah-e-husn-e-azal hai
ai 'zabt' maiñ joyā-e-sanam-ḳhāna nahīñ huuñ
main raaz-e-gham-e-ishq se begana nahin hun
diwana mujhe kahte hain diwana nahin hun
aisa hun piyala jo mohabbat se hai labrez
bhar kar jo chhalak jae wo paimana nahin hun
wo soz-e-mohabbat hun jo pinhan rahe dil mein
aa jae jo lab par main wo afsana nahin hun
main aarzu-e-did mein ghulta hun shab-o-roz
jo shama pe jal jae wo parwana nahin hun
ab jada-e-ulfat mein junun rah-numa hai
gum-gashta-e-manzil ho wo farzana nahin hun
pur-kaif mai-e-ishq se paimana-e-dil hai
sad-shukr ki ab tishna-e-KHum-KHana nahin hun
dagh-e-dil-e-majruh hai ham-rang-e-gulistan
jalwon ka KHazana hun main virana nahin hun
KHud qalb mera jalwa-gah-e-husn-e-azal hai
ai 'zabt' main joya-e-sanam-KHana nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.