main raha shir-o-shakar talKHi-e-ayyam ke sath
maiñ rahā shīr-o-shakar talḳhī-e-ayyām ke saath
zindagī maiñ ne guzārī baḌe ārām ke saath
tamkanat bhī hai kuchh is meñ to ye ḳhud.dār bhī hai
chal sakegā na mirā dil ravish-e-ām ke saath
ab na shikve kī jagah hai na shikāyat kā maqām
ban ga.e ḳhud vo tamāshā mire anjām ke saath
aaj kī shaam sunā hai vo idhar ā.eñge
ab qayāmat na chalī aa.e kahīñ shaam ke saath
ġhair piite haiñ shab-o-roz tire hāthoñ se
ye ḳhalish aur bhī hai tishnagī-e-jām ke saath
jaag uThtī hai kabhī aur kabhī so jaatī hai
zindagī khel rahī hai sahar-o-shām ke saath
ye bhī shāyad tirā 'ejāz'-e-sitam-rānī hai
dil ko vāpas bhī kiyā tū ne to in.aam ke saath
main raha shir-o-shakar talKHi-e-ayyam ke sath
zindagi main ne guzari baDe aaram ke sath
tamkanat bhi hai kuchh is mein to ye KHuddar bhi hai
chal sakega na mera dil rawish-e-am ke sath
ab na shikwe ki jagah hai na shikayat ka maqam
ban gae KHud wo tamasha mere anjam ke sath
aaj ki sham suna hai wo idhar aaenge
ab qayamat na chali aae kahin sham ke sath
ghair pite hain shab-o-roz tere hathon se
ye KHalish aur bhi hai tishnagi-e-jam ke sath
jag uThti hai kabhi aur kabhi so jati hai
zindagi khel rahi hai sahar-o-sham ke sath
ye bhi shayad tera 'ejaz'-e-sitam-rani hai
dil ko wapas bhi kiya tu ne to inam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.