main rahzanon se nahin rahbaron se Darta hun
maiñ rahzanoñ se nahīñ rahbaroñ se Dartā huuñ
yahī sabab hai ki tanhā safar pe niklā huuñ
hamāre biich hai āḳhir ye tafarqe kaisā
mirī tarah ho tum aur maiñ tumhāre jaisā huuñ
mire ḳhilāf mire dostoñ kī sāzish hai
maiñ jāntā huuñ magar dekh kar bhī andhā huuñ
mirī ravānī hai zāmin mirī tahārat kī
rukā to kaa.ī jamegī chalā to dariyā huuñ
maiñ apnī ruuh bhalā kaise bech duuñ āḳhir
mirā zamīr hai zinda to maiñ bhī zinda huuñ
main rahzanon se nahin rahbaron se Darta hun
yahi sabab hai ki tanha safar pe nikla hun
hamare bich hai aaKHir ye tafarqe kaisa
meri tarah ho tum aur main tumhaare jaisa hun
mere KHilaf mere doston ki sazish hai
main jaanta hun magar dekh kar bhi andha hun
meri rawani hai zamin meri tahaarat ki
ruka to kai jamegi chala to dariya hun
main apni ruh bhala kaise bech dun aaKHir
mera zamir hai zinda to main bhi zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.