main reza reza bikhar ke aise simaT raha hun
maiñ reza reza bikhar ke aise simaT rahā huuñ
ki thoḌā thoḌā sabhī ke hisse meñ baT rahā huuñ
maiñ ek patthar-sifat zamāne se huuñ magar ab
kisī ke aañsū ke chand qatroñ se kaT rahā huuñ
maiñ ḳhush huuñ us ko dikhā rahā huuñ na.e manāzir
magar ye dukh bhī ki us kī nazroñ se haT rahā huuñ
mujhe yaqīñ hai bichhaḌne vaalā yahīñ milegā
maiñ apne maazī ke aaj panne palaT rahā huuñ
tire badan se ġhazal kī ḳhushbū sī aa rahī hai
so tere dāman se kuchh ziyāda lipaT rahā huuñ
ajiib hai vo kisī kī bāhoñ meñ ḳhush bahut hai
ajiib huuñ maiñ jo naam us kā hī raT rahā huuñ
banāne vaale mujhe qad-āvar banā rahe haiñ
maiñ huuñ ki 'sājid' jo apne qad se bhī ghaT rahā huuñ
main reza reza bikhar ke aise simaT raha hun
ki thoDa thoDa sabhi ke hisse mein baT raha hun
main ek patthar-sifat zamane se hun magar ab
kisi ke aansu ke chand qatron se kaT raha hun
main KHush hun us ko dikha raha hun nae manazir
magar ye dukh bhi ki us ki nazron se haT raha hun
mujhe yaqin hai bichhaDne wala yahin milega
main apne mazi ke aaj panne palaT raha hun
tere badan se ghazal ki KHushbu si aa rahi hai
so tere daman se kuchh ziyaada lipaT raha hun
ajib hai wo kisi ki bahon mein KHush bahut hai
ajib hun main jo nam us ka hi raT raha hun
banane wale mujhe qad-awar bana rahe hain
main hun ki 'sajid' jo apne qad se bhi ghaT raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.