main rota hun aah-e-rasa band hai
maiñ rotā huuñ āh-e-rasā band hai
barastā hai paanī havā band hai
nahīñ murġh-e-jāñ jism-e-sad-chāk meñ
hamāre qafas meñ humā band hai
kahāñ qāfila tak rasā.ī mujhe
maiñ huuñ lañg shor-e-darā band hai
dil-e-vahshī apnā chhuTe kis tarah
ki zanjīr-e-gesū kā pāband hai
main rota hun aah-e-rasa band hai
barasta hai pani hawa band hai
nahin murgh-e-jaan jism-e-sad-chaak mein
hamare qafas mein huma band hai
kahan qafila tak rasai mujhe
main hun lang shor-e-dara band hai
dil-e-wahshi apna chhuTe kis tarah
ki zanjir-e-gesu ka paband hai
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.