main roz ek nai dastan banaunga
maiñ roz ek na.ī dāstāñ banā.ūñgā
phir is ke baa'd ḳhamoshī meñ Duub jā.ūñgā
sukūñ mile mujhe miTTī kī kokh meñ shāyad
maiñ mar gayā to kabhī lauT kar na ā.ūñgā
vo Dor hai to mire haath meñ rahegī sadā
patang hai to havā meñ use uḌā.ūñgā
judā judā haiñ lakīreñ sabhī ke hāthoñ kī
hujūm meñ bhī akelā hī ḳhud ko pā.ūñgā
agar nasīb huī mujh ko ek bhī nekī
maiñ apne saare gunāhoñ ko bhuul jā.ūñgā
main roz ek nai dastan banaunga
phir is ke ba'd KHamoshi mein Dub jaunga
sukun mile mujhe miTTi ki kokh mein shayad
main mar gaya to kabhi lauT kar na aaunga
wo Dor hai to mere hath mein rahegi sada
patang hai to hawa mein use uDaunga
juda juda hain lakiren sabhi ke hathon ki
hujum mein bhi akela hi KHud ko paunga
agar nasib hui mujh ko ek bhi neki
main apne sare gunahon ko bhul jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.