main ruTh gaya hun wo manane pe laga hai
maiñ ruuTh gayā huuñ vo manāne pe lagā hai
ye tiir mirā Thiik nishāne pe lagā hai
ik zaḳhm-e-judā.ī tire jaane pe lagā thā
ik zaḳhm-e-judā.ī tire aane pe lagā hai
jo vaqt guzarnā thā tirī yaad meñ apnā
kyā dukh hai ki vo vaqt zamāne pe lagā hai
ye kār-e-ziyāñ hai ise ab kaun batā.e
jo ḳhvāb ko ta.abīr banāne pe lagā hai
lagtā hai ki ab lauT ke aanā hī paḌegā
koī mujhe āvāz lagāne pe lagā hai
main ruTh gaya hun wo manane pe laga hai
ye tir mera Thik nishane pe laga hai
ek zaKHm-e-judai tere jaane pe laga tha
ek zaKHm-e-judai tere aane pe laga hai
jo waqt guzarna tha teri yaad mein apna
kya dukh hai ki wo waqt zamane pe laga hai
ye kar-e-ziyan hai ise ab kaun batae
jo KHwab ko tabir banane pe laga hai
lagta hai ki ab lauT ke aana hi paDega
koi mujhe aawaz lagane pe laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.