main ruThta tha to mujhko manaya karta tha
maiñ rūThtā thā to mujh ko manāyā kartā thā
kisī kā hijr mire naaz uThāyā kartā thā
bigāḌ detā thā tartīb maiñ sitāroñ kī
vo kahkashāñ ko dubāra sajāyā kartā thā
mirī udāsiyāñ gaatī thiiñ giit sāvan ke
añdherā mujh ko kahānī sunāyā kartā thā
tamām raat barastī thī chāñdnī mujh par
maiñ sar se paañv talak bhiig jaayā kartā thā
ye ashk aañkh se jab bhī nahīñ nikalte the
maiñ un dinoñ bhī faqat muskurāyā kartā thā
maiñ maarā phirtā thā rozāna tez dhūpoñ meñ
magar vo abr kā TukḌā jo saaya kartā thā
na jaane kaise sabhī jaan jaayā karte the
vo ik ḳhayāl jo sab se chhupāyā kartā thā
ye bhiiḌ roz mujhe gum-shuda banātī thī
magar vo roz mujhe DhūñDh laayā kartā thā
maiñ us ko bhuul chukā huuñ kabhī kabhī lekin
ye yaad aatā hai vo yaad aayā kartā thā
main ruThta tha to mujh ko manaya karta tha
kisi ka hijr mere naz uThaya karta tha
bigaD deta tha tartib main sitaron ki
wo kahkashan ko dubara sajaya karta tha
meri udasiyan gati thin git sawan ke
andhera mujh ko kahani sunaya karta tha
tamam raat barasti thi chandni mujh par
main sar se panw talak bhig jaya karta tha
ye ashk aankh se jab bhi nahin nikalte the
main un dinon bhi faqat muskuraya karta tha
main mara phirta tha rozana tez dhupon mein
magar wo abr ka TukDa jo saya karta tha
na jaane kaise sabhi jaan jaya karte the
wo ek KHayal jo sab se chhupaya karta tha
ye bhiD roz mujhe gum-shuda banati thi
magar wo roz mujhe DhunDh laya karta tha
main us ko bhul chuka hun kabhi kabhi lekin
ye yaad aata hai wo yaad aaya karta tha
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 79)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.