main sans lete zaif jismon mein rah chuka hun
maiñ saañs lete za.iif jismoñ meñ rah chukā huuñ
maiñ hādisa huuñ udaas logoñ meñ rah chukā huuñ
qadīm nasloñ ke ghar nahūsat kā devtā thā
jadīd nasloñ ke zard kamroñ meñ rah chukā huuñ
maiñ nīm-murda asiir insāñ kā qahqaha huuñ
maiñ surḳh īñToñ ke ḳhūnī pinjroñ meñ rah chukā huuñ
maiñ aisā sar huuñ jo dasht-e-ġhurbat meñ kaT gayā thā
maiñ sar-burīda shahīd lāshoñ meñ rah chukā huuñ
maiñ raajā gidh huuñ na dasht-zāda na mās-ḳhora
maiñ phir bhī bastī ke murda-ḳhoroñ meñ rah chukā huuñ
maiñ ism-e-āzam kā mo.ajiza huuñ maiñ nāḳhudā huuñ
maiñ chāñd tāroñ meñ aur ġhāroñ meñ rah chukā huuñ
yaqīn jaano ye mere bāloñ meñ gard dekho
maiñ shahr vaalā tumhāre gaañv meñ rah chukā huuñ
maiñ yaum-e-āshūr tishnagī kā sarāb ban kar
ḳhalīl-zādoñ ke ḳhālī kūzoñ meñ rah chukā huuñ
main sans lete zaif jismon mein rah chuka hun
main hadisa hun udas logon mein rah chuka hun
qadim naslon ke ghar nahusat ka dewta tha
jadid naslon ke zard kamron mein rah chuka hun
main nim-murda asir insan ka qahqaha hun
main surKH inTon ke KHuni pinjron mein rah chuka hun
main aisa sar hun jo dasht-e-ghurbat mein kaT gaya tha
main sar-burida shahid lashon mein rah chuka hun
main raja gidh hun na dasht-zada na mas-KHora
main phir bhi basti ke murda-KHoron mein rah chuka hun
main ism-e-azam ka moajiza hun main naKHuda hun
main chand taron mein aur ghaaron mein rah chuka hun
yaqin jaano ye mere baalon mein gard dekho
main shahr wala tumhaare ganw mein rah chuka hun
main yaum-e-ashur tishnagi ka sarab ban kar
KHalil-zadon ke KHali kuzon mein rah chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.