main sada-parwar kahin miTne lagi hun shor se
maiñ sadā-parvar kahīñ miTne lagī huuñ shor se
zindagī ab rok le baTne lagī huuñ shor se
kaise kah duuñ ḳhāmushī se aur ūñchā kar mujhe
maiñ mohabbat kī patañg kaTne lagī huuñ shor se
pahle to āvāz kā aaseb khultā hī na thā
ab khulā hai ye to maiñ laḌne lagī huuñ shor se
ḳhāmushī phir se duā de merī qāmat ke liye
ḳhāmushī ab maan le ghuTne lagī huuñ shor se
main sada-parwar kahin miTne lagi hun shor se
zindagi ab rok le baTne lagi hun shor se
kaise kah dun KHamushi se aur uncha kar mujhe
main mohabbat ki patang kaTne lagi hun shor se
pahle to aawaz ka aaseb khulta hi na tha
ab khula hai ye to main laDne lagi hun shor se
KHamushi phir se dua de meri qamat ke liye
KHamushi ab man le ghuTne lagi hun shor se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.