main samajh raha tha ki waqt ne tera nam dil se miTa diya
maiñ samajh rahā thā ki vaqt ne tirā naam dil se miTā diyā
shab-e-ġham magar tirī yaad ne mujhe aaj phir se rulā diyā
na hai tīrgī se gila koī na hai raushnī kī talab mujhe
mirī hasratoñ ke charāġh ko tirī be-ruḳhī ne bujhā diyā
ye mire hī zarf kī baat thī na kisī se kuchh bhī kahā magar
tirī furqatoñ kā jo dard thā mire āñsuoñ ne batā diyā
mire ham-nashīñ mire ham-navā tujhe nazr kyā karūñ maiñ batā
mirā dil bhī merā nahīñ rahā tire 'ishq meñ hī luTā diyā
na masarratoñ se sukūn kī kabhī chand sāñseñ 'atā huiiñ
ġham-e-zindagī tirā shukriya mujhe tū ne jiinā sikhā diyā
kahūñ us ko achchhā yā maiñ burā nahīñ hotā mujh se ye faisla
kabhī dostī ne vafā kiyā kabhī dostī ne daġhā diyā
main samajh raha tha ki waqt ne tera nam dil se miTa diya
shab-e-gham magar teri yaad ne mujhe aaj phir se rula diya
na hai tirgi se gila koi na hai raushni ki talab mujhe
meri hasraton ke charagh ko teri be-ruKHi ne bujha diya
ye mere hi zarf ki baat thi na kisi se kuchh bhi kaha magar
teri furqaton ka jo dard tha mere aansuon ne bata diya
mere ham-nashin mere ham-nawa tujhe nazr kya karun main bata
mera dil bhi mera nahin raha tere 'ishq mein hi luTa diya
na masarraton se sukun ki kabhi chand sansen 'ata huin
gham-e-zindagi tera shukriya mujhe tu ne jina sikha diya
kahun us ko achchha ya main bura nahin hota mujh se ye faisla
kabhi dosti ne wafa kiya kabhi dosti ne dagha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.