main samajhta hun tujhe meri wafa yaad nahin
main samajhta hun tujhe meri wafa yaad nahin
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
maiñ samajhtā huuñ tujhe merī vafā yaad nahīñ
tū samajhtā hai mujhe terī jafā yaad nahīñ
pūjtā huuñ maiñ butoñ ko ki ḳhudā yaad aa.e
ye sitam hai ki barahman ko ḳhudā yaad nahīñ
gar saḳhī bhuul gayā de ke yahī lāzim thā
lene vaale ko bhī afsos liyā yaad nahīñ
aise bhī log haiñ duniyā se nahīñ kaam jinheñ
un pe jo guzrā bhalā thā ki burā yaad nahīñ
tire dīvāne ko ai yaar faqat tujh se hai kaam
bādshah kaun hai aur kaun gadā yaad nahīñ
terī hī dhun meñ guzartī hai tire pyāroñ kī
is meñ kyā kyā na huī un pe jafā yaad nahīñ
apne maulā se jo kuchh māñgo abhī vo degā
'shād' muztar na ho kyā koī duā yaad nahīñ
main samajhta hun tujhe meri wafa yaad nahin
tu samajhta hai mujhe teri jafa yaad nahin
pujta hun main buton ko ki KHuda yaad aae
ye sitam hai ki barahman ko KHuda yaad nahin
gar saKHi bhul gaya de ke yahi lazim tha
lene wale ko bhi afsos liya yaad nahin
aise bhi log hain duniya se nahin kaam jinhen
un pe jo guzra bhala tha ki bura yaad nahin
tere diwane ko ai yar faqat tujh se hai kaam
baadshah kaun hai aur kaun gada yaad nahin
teri hi dhun mein guzarti hai tere pyaron ki
is mein kya kya na hui un pe jafa yaad nahin
apne maula se jo kuchh mango abhi wo dega
'shad' muztar na ho kya koi dua yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.