main samajhta tha haqiqat aashna ho jaega
maiñ samajhtā thā haqīqat āshnā ho jā.egā
kyā ḳhabar thī merī bātoñ se ḳhafā ho jā.egā
rafta-rafta ibtilā-e-ġham shifā ho jā.egā
dard hī had se guzarne par davā ho jā.egā
ham pe to pahle hī zāhir thā ma.āl-e-bandagī
pūjne jāoge jis but ko ḳhudā ho jā.egā
tajrbe kī aañch se āḳhir raqīb-e-rū-siyah
un kī qurbat se hamārā ham-navā ho jā.egā
aah jo siine se niklegī fuġhāñ ban jā.egī
ashk jo āñkhoñ se Tapkegā du'ā ban jā.egā
dam-ba-dam jo saath dene kā kiyā kartā thā 'ahd
kis ko thā mā'lūm ki ik din judā ho jā.egā
chhoḌne vaale sar-e-rāhe hameñ tere liye
zindagānī kā safar be-mudda.ā ho jā.egā
ik nigāh-e-lutf vo pahlī sī dildārī ke saath
daan kar diije ġharīboñ kā bhalā ho jā.egā
sahl-tar hogā najāt-e-ḳhalq meñ qarz-e-vafā
jaan bhī degā agar 'aḳhtar' adā ho jā.egā
main samajhta tha haqiqat aashna ho jaega
kya KHabar thi meri baaton se KHafa ho jaega
rafta-rafta ibtila-e-gham shifa ho jaega
dard hi had se guzarne par dawa ho jaega
hum pe to pahle hi zahir tha maal-e-bandagi
pujne jaoge jis but ko KHuda ho jaega
tajrbe ki aanch se aaKHir raqib-e-ru-siyah
un ki qurbat se hamara ham-nawa ho jaega
aah jo sine se niklegi fughan ban jaegi
ashk jo aankhon se Tapkega du'a ban jaega
dam-ba-dam jo sath dene ka kiya karta tha 'ahd
kis ko tha ma'lum ki ek din juda ho jaega
chhoDne wale sar-e-rahe hamein tere liye
zindagani ka safar be-muddaa ho jaega
ek nigah-e-lutf wo pahli si dildari ke sath
dan kar dije gharibon ka bhala ho jaega
sahl-tar hoga najat-e-KHalq mein qarz-e-wafa
jaan bhi dega agar 'aKHtar' ada ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.