main samjha tha mohabbat phir mohabbat hai maza degi
maiñ samjhā thā mohabbat phir mohabbat hai mazā degī
ye kyā mā'lūm thā zālim shab-e-furqat rulā degī
mujhe bas dekh lo tum maiñ zabāñ se kuchh nahīñ kahtā
mire dil kī jo hālat hai mirī sūrat batā degī
sun ai ġhāfil ye sair-e-bāġh-e-hastī tā-ba-kai āḳhir
qazā ik din tujhe āġhosh-e-turbat meñ sulā degī
ġhalat hai ye vo ā.eñge na aa.e haiñ na ā.eñge
batā ai shām-e-ġham kab mujh ko paiġhām-e-qazā degī
vo ghaḌiyāñ gin rahā hai maut kī ai vaa.e nākāmī
jo kahtā thā mohabbat zindagī merī banā degī
burā ho yā ḳhudā kam-baḳht is barbād qismat kā
jahāñ par āshiyāñ hogā vahīñ bijlī girā degī
sivā.e tere ab koī nahīñ hai tere 'fāzil' kā
ilāhī terī rahmat hī use kuchh aasrā degī
main samjha tha mohabbat phir mohabbat hai maza degi
ye kya ma'lum tha zalim shab-e-furqat rula degi
mujhe bas dekh lo tum main zaban se kuchh nahin kahta
mere dil ki jo haalat hai meri surat bata degi
sun ai ghafil ye sair-e-bagh-e-hasti ta-ba-kai aaKHir
qaza ek din tujhe aaghosh-e-turbat mein sula degi
ghalat hai ye wo aaenge na aae hain na aaenge
bata ai sham-e-gham kab mujh ko paigham-e-qaza degi
wo ghaDiyan gin raha hai maut ki ai wae nakaami
jo kahta tha mohabbat zindagi meri bana degi
bura ho ya KHuda kam-baKHt is barbaad qismat ka
jahan par aashiyan hoga wahin bijli gira degi
siwae tere ab koi nahin hai tere 'fazil' ka
ilahi teri rahmat hi use kuchh aasra degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.