main samundar na bana ju-e-rawan hote hue
maiñ samundar na banā jū-e-ravāñ hote hue
ban ke jugnū na uḌā shoa.la-fishāñ hote hue
rafta rafta bhī hue kaam jinheñ honā thā
kyuuñ añdhere na chhuTe sub.h-e-ayāñ hote hue
kal ajab baat huī auj pe thī tanhā.ī
paas mere tire hone kā gumāñ hote hue
tū na ban jaa.e kahīñ pahlā nishāna merā
tere qaabū meñ mire tīr-o-kamāñ hote hue
baaġh vīrān bahāroñ meñ rahe aur 'shādāb'
phuul jañgal meñ khile fasl-e-ḳhizāñ hote hue
main samundar na bana ju-e-rawan hote hue
ban ke jugnu na uDa shoala-fishan hote hue
rafta rafta bhi hue kaam jinhen hona tha
kyun andhere na chhuTe subh-e-ayan hote hue
kal ajab baat hui auj pe thi tanhai
pas mere tere hone ka guman hote hue
tu na ban jae kahin pahla nishana mera
tere qabu mein mere tir-o-kaman hote hue
bagh viran bahaaron mein rahe aur 'shadab'
phul jangal mein khile fasl-e-KHizan hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.