main shah ka kabhi jo musahib nahin hua
maiñ shaah kā kabhī jo musāhib nahīñ huā
sajda bhī koī mujh pe to vājib nahīñ huā
ham us kī bazm meñ to bahut der tak rahe
lekin vo shaḳhs ham se muḳhātib nahīñ huā
duniyā se be-niyāz rahe Thiik hī kiyā
duniyā kā rang ham pe to ġhālib nahīñ huā
lāzim hai jā ke shaah se sab log ye kaheñ
jo kuchh yahāñ huā vo munāsib nahīñ huā
in bastiyoñ pe us kī navāzish bahut huī
lekin ye kaam hasb-e-marātib nahīñ huā
main shah ka kabhi jo musahib nahin hua
sajda bhi koi mujh pe to wajib nahin hua
hum us ki bazm mein to bahut der tak rahe
lekin wo shaKHs hum se muKHatib nahin hua
duniya se be-niyaz rahe Thik hi kiya
duniya ka rang hum pe to ghaalib nahin hua
lazim hai ja ke shah se sab log ye kahen
jo kuchh yahan hua wo munasib nahin hua
in bastiyon pe us ki nawazish bahut hui
lekin ye kaam hasb-e-maraatib nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.