Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main shair hun to kya rota rahunga

G. R. Vashishth

main shair hun to kya rota rahunga

G. R. Vashishth

MORE BYG. R. Vashishth

    maiñ shā.ir huuñ to kyā rotā rahūñgā

    lahū ke daaġh dhotā rahūñgā

    zamīñ āñkhoñ ho jā.egī banjar

    musalsal ḳhvāb agar botā rahūñgā

    terī zulfeñ nahīñ hoñgī to phir maiñ

    shajar chhāñv hotā rahūñgā

    ye kab sochā thā jab kho jāoge tum

    jise bhī pā.ūñgā khotā rahūñgā

    terī āñkheñ khuleñgī tab talak to

    maiñ yuuñ so jā.ūñgā sotā rahūñgā

    main shair hun to kya rota rahunga

    lahu ke dagh hi dhota rahunga

    zamin aankhon ki ho jaegi banjar

    musalsal KHwab agar bota rahunga

    teri zulfen nahin hongi to phir main

    shajar ki chhanw ka hota rahunga

    ye kab socha tha jab kho jaoge tum

    jise bhi paunga khota rahunga

    teri aankhen khulengi tab talak to

    main yun so jaunga sota rahunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now