main shahid-e-naz hun maskan mera madfan hua
main shahid-e-naz hun maskan mera madfan hua
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
maiñ shahīd-e-nāz huuñ maskan mirā madfan huā
āqibat merā kafan merā hī pairāhan huā
martaba yaañ past kā baalā pas-e-murdan huā
sang-e-pā āḳhir mirā sañg-e-sar-e-madfan huā
hai asīrī ārzū-e-ḳhilqat-e-dīvāngī
tauq-e-gardan mujh ko merā halqa-e-dāman huā
af.ī kākul nazar aate haiñ lahrāte hue
kyā dil-e-vīrāñ hamārā kevḌe kā ban huā
hai dalīl-e-rahnumā.ī tīra-baḳhtī bād-e-marg
mash.al-e-rāh-e-fanā dāġh-e-dil-e-raushan huā
main shahid-e-naz hun maskan mera madfan hua
aaqibat mera kafan mera hi pairahan hua
martaba yan past ka baala pas-e-murdan hua
sang-e-pa aaKHir mera sang-e-sar-e-madfan hua
hai asiri aarzu-e-KHilqat-e-diwangi
tauq-e-gardan mujh ko mera halqa-e-daman hua
afi kakul nazar aate hain lahraate hue
kya dil-e-viran hamara kewDe ka ban hua
hai dalil-e-rahnumai tira-baKHti baad-e-marg
mashal-e-rah-e-fana dagh-e-dil-e-raushan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.