Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main shakl dekh ke kaise kahun ki kya hoga

Khan Janbaz

main shakl dekh ke kaise kahun ki kya hoga

Khan Janbaz

MORE BYKhan Janbaz

    maiñ shakl dekh ke kaise kahūñ ki kyā hogā

    hasīn shaḳhs hai mumkin hai bevafā hogā

    tumheñ ḳhayāl bhī aayā safar pe jaate hue

    tumhāre ba.ad hamārā yahāñ pe kyā hogā

    maiñ jhuuT bol ke aayā thā vāpsī jise

    vo shaḳhs ab bhī mirī raah dekhtā hogā

    ye dostī na kahīñ pyaar meñ badal jaa.e

    ab apne darmiyāñ thoḌā fāsla hogā

    ye raaz mujh pe khulā ab ki merā koī nahīñ

    maiñ sochtā thā mire saath bhī ḳhudā hogā

    ye shā.irī to ḳhud shauq thā use 'jāñbāz'

    haañ shā.iroñ se koī mas.ala rahā hogā

    main shakl dekh ke kaise kahun ki kya hoga

    hasin shaKHs hai mumkin hai bewafa hoga

    tumhein KHayal bhi aaya safar pe jate hue

    tumhaare baad hamara yahan pe kya hoga

    main jhuT bol ke aaya tha wapsi ka jise

    wo shaKHs ab bhi meri rah dekhta hoga

    ye dosti na kahin pyar mein badal jae

    ab apne darmiyan thoDa sa fasla hoga

    ye raaz mujh pe khula ab ki mera koi nahin

    main sochta tha mere sath bhi KHuda hoga

    ye shairi ka to KHud shauq tha use 'jaanbaz'

    han shairon se koi masala raha hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now