main sikhta raha ek umr haw-hu karna
maiñ sīkhtā rahā ik 'umr hāv-hū karnā
yūñhī nahīñ mujhe aayā ye guftugū karnā
abhī talab ne jhameloñ meñ Daal rakkhā hai
abhī to sīkhnā hai terī aarzū karnā
hameñ charāġhoñ se Dar kar ye raat biit ga.ī
hamārā zikr sar-e-shām kū-ba-kū karnā
bhalā ye kis ne kahā thā hayāt-baḳhsh hai ye 'ishq
kabhī mile to use mere rū-ba-rū karnā
kise ḳhabar kise miltā hai lams-e-fikr-e-rasā
ḳhayāl-e-yār ke zimme hai justujū karnā
mujhe bhī rañj hai murjhā ga.e vo phuul se log
batā rahā hai mirā zikr-e-rañg-o-bū karnā
sukūt-e-shab ne sikhāyā thā mujh ko āḳhir-e-shab
balā kā shor ho jab ḳhāmushī rafū karnā
main sikhta raha ek 'umr haw-hu karna
yunhi nahin mujhe aaya ye guftugu karna
abhi talab ne jhamelon mein Dal rakkha hai
abhi to sikhna hai teri aarzu karna
hamein charaghon se Dar kar ye raat bit gai
hamara zikr sar-e-sham ku-ba-ku karna
bhala ye kis ne kaha tha hayat-baKHsh hai ye 'ishq
kabhi mile to use mere ru-ba-ru karna
kise KHabar kise milta hai lams-e-fikr-e-rasa
KHayal-e-yar ke zimme hai justuju karna
mujhe bhi ranj hai murjha gae wo phul se log
bata raha hai mera zikr-e-rang-o-bu karna
sukut-e-shab ne sikhaya tha mujh ko aaKHir-e-shab
bala ka shor ho jab KHamushi rafu karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.