main sochta hun kabhi aisa ho na jae kahin
maiñ sochtā huuñ kabhī aisā ho na jaa.e kahīñ
ki ḳhvāb aañkh meñ ho aañkh so na jaa.e kahīñ
maiñ jāntā huuñ bahut roz vo na Thahregā
magar is arse meñ vo zahr bo na jaa.e kahīñ
jo ek aks banāyā thā pichhlī bārish ne
vo shakl ab ke se barsāt dho na jaa.e kahīñ
use ye shikva ki maiñ ne na pūchhā haal us kā
mujhe ye ḳhauf meñ bolā to ro na jaa.e kahīñ
baḌhī jo umr to ab tajraba satāne lagā
hai Dar ki būḌhā shajar ham se kho na jaa.e kahīñ
baḌoñ ke faiz se hāsil hai shams' ko ye kamāl
ki us ke saath jo aa jaa.e to na jaa.e kahīñ
main sochta hun kabhi aisa ho na jae kahin
ki KHwab aankh mein ho aankh so na jae kahin
main jaanta hun bahut roz wo na Thahrega
magar is arse mein wo zahr bo na jae kahin
jo ek aks banaya tha pichhli barish ne
wo shakl ab ke se barsat dho na jae kahin
use ye shikwa ki main ne na puchha haal us ka
mujhe ye KHauf mein bola to ro na jae kahin
baDhi jo umr to ab tajraba satane laga
hai Dar ki buDha shajar hum se kho na jae kahin
baDon ke faiz se hasil hai shams' ko ye kamal
ki us ke sath jo aa jae to na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.