main sochta hun kinara karun mohabbat se
maiñ sochtā huuñ kināra karūñ mohabbat se
guzar hī jā.ūñ kisī din maqām-e-ibrat se
maiñ ek taḳhta-e-yaḳh ko pakaḌ ke bahtā huuñ
bhañvar kī aañkh mujhe tak rahī hai hairat se
ajab nahīñ ki junūñ meñ ye mo.ajiza bhī ho
maiñ iḳhtiyār meñ aa jā.ūñ apne vahshat se
ġhubār-e-ḳhvāb uḌā ke guzar gayā koī
lagī thī aañkh mirī chāñdnī meñ ġhaflat se
nazar ko Dhiil na do is qadar nazāre par
ki saarā kaam bigaḌ jaa.e us kī ujlat se
mujhe vajūd ke phailāo ne kiyā taqsīm
maiñ aqliyat meñ ab aayā huuñ apnī kasrat se
ye kaun ḳhāna-e-dil maiñ mire chhupā hai jo
darīche khol rahā hai tirī ijāzat se
main sochta hun kinara karun mohabbat se
guzar hi jaun kisi din maqam-e-ibrat se
main ek taKHta-e-yaKH ko pakaD ke bahta hun
bhanwar ki aankh mujhe tak rahi hai hairat se
ajab nahin ki junun mein ye moajiza bhi ho
main iKHtiyar mein aa jaun apne wahshat se
ghubar-e-KHwab uDa ke guzar gaya koi
lagi thi aankh meri chandni mein ghaflat se
nazar ko Dhil na do is qadar nazare par
ki sara kaam bigaD jae us ki ujlat se
mujhe wajud ke phailao ne kiya taqsim
main aqliyat mein ab aaya hun apni kasrat se
ye kaun KHana-e-dil main mere chhupa hai jo
dariche khol raha hai teri ijazat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.