main sochta tha ki kahna bhula diya usne
maiñ sochtā thā ki kahnā bhulā diyā us ne
kivāḌ khol ke parda uThā diyā us ne
jo sochte the ki bāliġh-nazar kahāñ hai koī
vo haath malte haiñ kaisā dilā diyā us ne
kahāniyoñ se kashīda malāl kī qirat
aur us ke ba.ad latīfa sunā diyā us ne
vo be-jahat jo mirī ḳhvāb-gāh tak pahuñchī
to merī niiñd meñ raḳhna banā diyā us ne
drop-scene se pahle jagā diyā jaanā
mire gumāñ kā talazzuz uThā diyā us ne
main sochta tha ki kahna bhula diya us ne
kiwaD khol ke parda uTha diya us ne
jo sochte the ki baaligh-nazar kahan hai koi
wo hath malte hain kaisa dila diya us ne
kahaniyon se kashida malal ki qirat
aur us ke baad latifa suna diya us ne
wo be-jahat jo meri KHwab-gah tak pahunchi
to meri nind mein raKHna bana diya us ne
drop-scene se pahle jaga diya jaana
mere guman ka talazzuz uTha diya us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.