main sochta to hun lekin ye baat kis se kahun
maiñ sochtā to huuñ lekin ye baat kis se kahūñ
vo aa.ine meñ jo utre to maiñ sañvar jā.ūñ
ḳhud apne aap se vahshat sī ho rahī hai mujhe
bichhaḌ ke tujh se maiñ ik mustaqil azaab meñ huuñ
har ek lamha bhañvar hai har ek pal tūfāñ
kahāñ tak aur maiñ sāhil kī justujū meñ baḌhūñ
mire vajūd ne kyā kyā libās badle haiñ
kahīñ charāġh kahīñ rāste kā patthar huuñ
havā ke dosh pe huuñ misl-e-barg-e-āvāra
ab aur kyā kahūñ 'anjum' meñ apnā hāl-e-zabūñ
main sochta to hun lekin ye baat kis se kahun
wo aaine mein jo utre to main sanwar jaun
KHud apne aap se wahshat si ho rahi hai mujhe
bichhaD ke tujh se main ek mustaqil azab mein hun
har ek lamha bhanwar hai har ek pal tufan
kahan tak aur main sahil ki justuju mein baDhun
mere wajud ne kya kya libas badle hain
kahin charagh kahin raste ka patthar hun
hawa ke dosh pe hun misl-e-barg-e-awara
ab aur kya kahun 'anjum' mein apna haal-e-zabun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.