main sochta to yahi hun ki runuma ho jaun
maiñ sochtā to yahī huuñ ki rūnumā ho jā.ūñ
charāġh ho nahīñ saktā to phir havā ho jā.ūñ
maiñ TūT-phūT ke ik aise marhale par huuñ
bikhar bhī saktā huuñ mumkin hai kuchh nayā ho jā.ūñ
shajar charāġh havā aa.ina shafaq jugnū
mujhe batā ki tire vāste maiñ kyā ho jā.ūñ
mujhe hai aaj bhī ḳhush-rang titliyoñ kī talāsh
magar jahāñ kā taqāzā hai kuchh baḌā ho jā.ūñ
tamām nekiyāñ dariyā meñ Daal kar 'maz.har'
hai mere haq meñ ye achchhā ki maiñ burā ho jā.ūñ
main sochta to yahi hun ki runuma ho jaun
charagh ho nahin sakta to phir hawa ho jaun
main TuT-phuT ke ek aise marhale par hun
bikhar bhi sakta hun mumkin hai kuchh naya ho jaun
shajar charagh hawa aaina shafaq jugnu
mujhe bata ki tere waste main kya ho jaun
mujhe hai aaj bhi KHush-rang titliyon ki talash
magar jahan ka taqaza hai kuchh baDa ho jaun
tamam nekiyan dariya mein Dal kar 'mazhar'
hai mere haq mein ye achchha ki main bura ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.