main sun raha hun jo duniya suna rahi hai mujhe
maiñ sun rahā huuñ jo duniyā sunā rahī hai mujhe
hañsī to apnī ḳhamoshī pe aa rahī hai mujhe
mire vajūd kī miTTī meñ zar nahīñ koī
ye ik charāġh kī lau jagmagā rahī hai mujhe
ye kaise ḳhvāb kī ḳhvāhish meñ ghar se niklā huuñ
ki din meñ chalte hue niiñd aa rahī hai mujhe
koī sahārā mujhe kab sambhāl saktā hai
mirī zamīn agar Dagmagā rahī hai mujhe
maiñ is jahān meñ ḳhush huuñ magar koī āvāz
na.e jahān kī jānib bulā rahī hai mujhe
main sun raha hun jo duniya suna rahi hai mujhe
hansi to apni KHamoshi pe aa rahi hai mujhe
mere wajud ki miTTi mein zar nahin koi
ye ek charagh ki lau jagmaga rahi hai mujhe
ye kaise KHwab ki KHwahish mein ghar se nikla hun
ki din mein chalte hue nind aa rahi hai mujhe
koi sahaara mujhe kab sambhaal sakta hai
meri zamin agar Dagmaga rahi hai mujhe
main is jahan mein KHush hun magar koi aawaz
nae jahan ki jaanib bula rahi hai mujhe
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 17.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.