main sun raha hun jo usne abhi kaha nahin hai
maiñ sun rahā huuñ jo us ne abhī kahā nahīñ hai
to kyā ye 'ishq kā adnā sā mo'jiza nahīñ hai
ghisī-piTī sī ye tashbīh maiñ nahīñ likhtā
hasīñ hai chāñd to hogā vo chāñd sā nahīñ hai
bahār aa.ī hai gulshan meñ phuul mahke haiñ
mire nasīb kā ġhuncha magar khilā nahīñ hai
mujhe to vasl bhī furqat-zada hī lag rahā thā
vo mere paas thā lekin mujhe lagā nahīñ hai
maiñ be-gunāhī kā apnī subūt kaise duuñ
kisī bhī samt se kurtā mirā phaTā nahīñ hai
main sun raha hun jo us ne abhi kaha nahin hai
to kya ye 'ishq ka adna sa mo'jiza nahin hai
ghisi-piTi si ye tashbih main nahin likhta
hasin hai chand to hoga wo chand sa nahin hai
bahaar aai hai gulshan mein phul mahke hain
mere nasib ka ghuncha magar khila nahin hai
mujhe to wasl bhi furqat-zada hi lag raha tha
wo mere pas tha lekin mujhe laga nahin hai
main be-gunahi ka apni subut kaise dun
kisi bhi samt se kurta mera phaTa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.