main sunaun kise hayat ka dukh
maiñ sunā.ūñ kise hayāt kā dukh
mere andar hai kā.enāt kā dukh
vasl meñ din guzārne vaale
hijr meñ mujh se pūchh raat kā dukh
kaun huuñ kyā huuñ kis liye huuñ maiñ
mujh ko kitnā hai apnī zaat kā dukh
talḳh lahja kabhī garāñ lahja
maiñ ne jhelā hai baat baat kā dukh
ġhul hai bastī meñ mar gayā 'rizvān'
ab manāo mirī vafāt kā dukh
main sunaun kise hayat ka dukh
mere andar hai kaenat ka dukh
wasl mein din guzarne wale
hijr mein mujh se puchh raat ka dukh
kaun hun kya hun kis liye hun main
mujh ko kitna hai apni zat ka dukh
talKH lahja kabhi garan lahja
main ne jhela hai baat baat ka dukh
ghul hai basti mein mar gaya 'rizwan'
ab manao meri wafat ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.