main taKHliq-e-sharar karta hun apne soz-e-pinhan se
main taKHliq-e-sharar karta hun apne soz-e-pinhan se
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
maiñ taḳhlīq-e-sharar kartā huuñ apne soz-e-pinhāñ se
maiñ parvāna nahīñ jo aag luuñ har sham-e-sozāñ se
kiyā vahshat ne aql-o-ishq meñ ik rabt-e-nau paidā
ga.e vo din ke dīvāne ulajhte the garebāñ se
na jaane imtihāñ hai aaj kis kī nā-ḳhudā.ī kā
ki jo bhī mauj uThtī hai vo baḌh jaatī hai tūfāñ se
kashish manzil kī dāman khīñchtī thī varna mushkil thā
guzarnā fasl-e-gul meñ be-niyāzāna gulistāñ se
kaheñ kyā ham kahāñ aa ke tire vahshī ne dam toḌā
ḳhirad samjhā-bujhā ke le to aa.ī thī bayābāñ se
ba-qaul ustād ke 'ehsāñ' hai suunā dil kā kāshāna
chalo thoḌī sī raunaq maañg laa.eñ bazm-e-jānāñ se
main taKHliq-e-sharar karta hun apne soz-e-pinhan se
main parwana nahin jo aag lun har sham-e-sozan se
kiya wahshat ne aql-o-ishq mein ek rabt-e-nau paida
gae wo din ke diwane ulajhte the gareban se
na jaane imtihan hai aaj kis ki na-KHudai ka
ki jo bhi mauj uThti hai wo baDh jati hai tufan se
kashish manzil ki daman khinchti thi warna mushkil tha
guzarna fasl-e-gul mein be-niyazana gulistan se
kahen kya hum kahan aa ke tere wahshi ne dam toDa
KHirad samjha-bujha ke le to aai thi bayaban se
ba-qaul ustad ke 'ehsan' hai suna dil ka kashana
chalo thoDi si raunaq mang laen bazm-e-jaanan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.