main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de
maiñ tamām gard-o-ġhubār huuñ mujhe merī sūrat-e-hāl de
mirī ḳhaak hai ki uḌī huī ise jism ke ḳhad-o-ḳhāl de
ki na jaane kaun mire vajūd pe paañv rakh ke chalā gayā
koī naqsh-e-pā huuñ rukā huā ise rāste se nikāl de
maiñ karūñ to kyā ki jame raheñ mire paañv merī zamīn par
mire ghar meñ mujh ko sambhāl yā mujhe mere ghar se nikāl de
ye falak-shigāf imārateñ mire aab o gil se bichhaḌ ga.iiñ
mire aab o gil pe karam na kar tū imāratoñ ko zavāl de
vo milā ki jaise bichhaḌ gayā koī sāneha bhī nahīñ huā
mirā ishq bhī koī ishq hai ki na ḳhush kare na malāl de
mire hoñTh jaane kahāñ ga.e ki tire hī naam na le sake
mujhe harf o saut ke māvarā koī aur ḳhvāb-o-ḳhayāl de
koī barf sī hai jamī huī mirī choTiyāñ haiñ Dhakī huī
mirā kohsār tulūa ho mire pāniyoñ ko ubaal de
main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de
meri KHak hai ki uDi hui ise jism ke KHad-o-KHal de
ki na jaane kaun mere wajud pe panw rakh ke chala gaya
koi naqsh-e-pa hun ruka hua ise raste se nikal de
main karun to kya ki jame rahen mere panw meri zamin par
mere ghar mein mujh ko sambhaal ya mujhe mere ghar se nikal de
ye falak-shigaf imaraten mere aab o gil se bichhaD gain
mere aab o gil pe karam na kar tu imaraton ko zawal de
wo mila ki jaise bichhaD gaya koi saneha bhi nahin hua
mera ishq bhi koi ishq hai ki na KHush kare na malal de
mere honTh jaane kahan gae ki tere hi nam na le sake
mujhe harf o saut ke mawara koi aur KHwab-o-KHayal de
koi barf si hai jami hui meri choTiyan hain Dhaki hui
mera kohsar tulua ho mere paniyon ko ubaal de
- Book : mai.n ronaa chaahtaa huu.n (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.