main tera muntazir hun jalwa-e-jaanana barson se
maiñ terā muntazir huuñ jalva-e-jānāna barsoñ se
chhalak uTThā hai mere sabr kā paimāna barsoñ se
vafā kī pāsdārī hai na jal jaane kā jazba hai
badal Daalī hai kis ne fitrat-e-parvāna barsoñ se
na lā gardish meñ us ke sāmne paimāna ai saaqī
na jaane kaun se zindāñ meñ thā dīvāna barsoñ se
unheñ isrār hai maiñ un ko ghar aane kī dāvat duuñ
kahūñ kaise unheñ ghar hai mirā vīrāna barsoñ se
qayāmat hai usī par bevafā hone kī tohmat hai
jo detā aa rahā hai jaan kā nazrāna barsoñ se
na jaane kitnī barsātoñ meñ DhūñDā hai 'qamar' ham ne
nazar aate haiñ vo mai-kash na vo mai-ḳhāna barsoñ se
main tera muntazir hun jalwa-e-jaanana barson se
chhalak uTTha hai mere sabr ka paimana barson se
wafa ki pasdari hai na jal jaane ka jazba hai
badal Dali hai kis ne fitrat-e-parwana barson se
na la gardish mein us ke samne paimana ai saqi
na jaane kaun se zindan mein tha diwana barson se
unhen israr hai main un ko ghar aane ki dawat dun
kahun kaise unhen ghar hai mera virana barson se
qayamat hai usi par bewafa hone ki tohmat hai
jo deta aa raha hai jaan ka nazrana barson se
na jaane kitni barsaton mein DhunDa hai 'qamar' hum ne
nazar aate hain wo mai-kash na wo mai-KHana barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.