main tere pas hun mujhse ye kah raha koi hai
maiñ tere paas huuñ mujh se ye kah rahā koī hai
tamām shab mirī āñkhoñ meñ jāgtā koī hai
diyā umiid kā bujhtā hai jaltī āñkhoñ meñ
kisī ke lab pe mire vāste duā koī hai
purānī bātoñ kī yādeñ bhikāriyoñ kī tarah
savāl kartī haiñ aivān-e-dil pe kyā koī hai
gumāñ guzartā hai hote hue na hone kā
tirī nigāh meñ jaadū magar nayā koī hai
ye ḳhvāb kā hai safar maiñ huuñ ḳhvāb-rū kī tarah
na ibtidā hī thī kuchh aur na intihā koī hai
na vo fazā na vo chashme na vādiyāñ na vo log
magar ye vahm mirī raah dekhtā koī hai
shikasta-dil tū use chhoḌ kar na jā 'ġhāfil'
ki tere saaz meñ muzmar abhī sadā koī hai
main tere pas hun mujh se ye kah raha koi hai
tamam shab meri aankhon mein jagta koi hai
diya umid ka bujhta hai jalti aankhon mein
kisi ke lab pe mere waste dua koi hai
purani baaton ki yaaden bhikariyon ki tarah
sawal karti hain aiwan-e-dil pe kya koi hai
guman guzarta hai hote hue na hone ka
teri nigah mein jadu magar naya koi hai
ye KHwab ka hai safar main hun KHwab-ru ki tarah
na ibtida hi thi kuchh aur na intiha koi hai
na wo faza na wo chashme na wadiyan na wo log
magar ye wahm meri rah dekhta koi hai
shikasta-dil tu use chhoD kar na ja 'ghafil'
ki tere saz mein muzmar abhi sada koi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.