main teri yaad mein gum hun so main hun tu ho kar
maiñ terī yaad meñ gum huuñ so maiñ huuñ tū ho kar
ki jaise phuul meñ rahtā huuñ us kī bū ho kar
phir aa jā aur ye tasvīr le ke jā apnī
tū ḳhud ko chhoḌ gayā mere rū-ba-rū ho kar
ye dil to roz nasheman sajā ke rakhtā hai
mirī taraf se guzar tū bhī to kabhū ho kar
gulāb sun to gul-andām aa rahā hogā
dikhā de sāmne us ke bhī surḳh-rū ho kar
tū chāhtā hai to siina yuuñ chiir 'aḳhtar' kā
ki chīrne ko tujhe phir mile rafū ho kar
main teri yaad mein gum hun so main hun tu ho kar
ki jaise phul mein rahta hun us ki bu ho kar
phir aa ja aur ye taswir le ke ja apni
tu KHud ko chhoD gaya mere ru-ba-ru ho kar
ye dil to roz nasheman saja ke rakhta hai
meri taraf se guzar tu bhi to kabhu ho kar
gulab sun to gul-andam aa raha hoga
dikha de samne us ke bhi surKH-ru ho kar
tu chahta hai to sina yun chir 'aKHtar' ka
ki chirne ko tujhe phir mile rafu ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.