main thak chuka hun zamana ke chonchalon se ab
maiñ thak chukā huuñ zamāna ke choñchaloñ se ab
so chun rahā huuñ kuchh ik dost dushmanoñ se ab
chale ga.e haiñ jo vāpas nahīñ milā karte
milūñgā ḳhair tumheñ maiñ bhī mushkiloñ se ab
na jaane kaaT rahā huuñ maiñ kis liye rāteñ
milegā kyā hī mujhe jaane ratjagoñ se ab
miTā rahā huuñ ab apnā maiñ asl mā'nī ḳhud
talāsh karnā mujhe apne zāviyoñ se ab
tumhāre dil meñ bhī merī jagah nahīñ koī
mujhe bhī sīkhnā hai jiinā be-gharoñ se ab
main thak chuka hun zamana ke chonchalon se ab
so chun raha hun kuchh ek dost dushmanon se ab
chale gae hain jo wapas nahin mila karte
milunga KHair tumhein main bhi mushkilon se ab
na jaane kaT raha hun main kis liye raaten
milega kya hi mujhe jaane ratjagon se ab
miTa raha hun ab apna main asl ma'ni KHud
talash karna mujhe apne zawiyon se ab
tumhaare dil mein bhi meri jagah nahin koi
mujhe bhi sikhna hai jina be-gharon se ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.