main Thik-Thak hun wo bhi na kuchh malal kare
maiñ Thīk-Thāk huuñ vo bhī na kuchh malāl kare
bas us se kahnā ki paudhoñ ki dekh-bhāl kare
hasīn shaam meñ ham daa.eñ baa.eñ baiThe hoñ
tumhāre saa.e se saayā mirā visāl kare
vo dhuup hai ki ga.e haar jis se sab saa.e
ab aise meñ to tirī zulf kuchh kamāl kare
kabhī to ḳhvāb meñ aa.e mire raqīboñ ke
aur un ke ḳhvāb meñ bhī merā hī ḳhayāl kare
vo apnī lau ko zarā aur tez kar le bas
agar ye raat charāġhoñ se kuchh savāl kare
main Thik-Thak hun wo bhi na kuchh malal kare
bas us se kahna ki paudhon ki dekh-bhaal kare
hasin sham mein hum daen baen baiThe hon
tumhaare sae se saya mera visal kare
wo dhup hai ki gae haar jis se sab sae
ab aise mein to teri zulf kuchh kamal kare
kabhi to KHwab mein aae mere raqibon ke
aur un ke KHwab mein bhi mera hi KHayal kare
wo apni lau ko zara aur tez kar le bas
agar ye raat charaghon se kuchh sawal kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.