main tirgi se guzarta hun raushni ki tarah
main tirgi se guzarta hun raushni ki tarah
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
maiñ tīrgī se guzartā huuñ raushnī kī tarah
mujhe shu.ūr hai jiine kā aadmī kī tarah
yahī adā thī yahī naaz thā yahī shoḳhī
ik aur shaḳhs bhī dekhā thā aap hī kī tarah
maiñ un se mahv-e-takallum vo mujh se garm-e-suḳhan
maiñ zindagī se muḳhātib huuñ zindagī kī tarah
ḳhatā muaaf ye milnā bhī koī milnā hai
tum apne ho ke bhī milte ho ajnabī kī tarah
tirā jamāl hai ā.īna-dār-e-zāt-o-sifāt
tirā ḳhayāl hai sūraj kī raushnī kī tarah
kisī kī yaad kī ḳhushbū hai misl-e-bū-e-chaman
kisī kī zulf kā saaya hai chāñdnī kī tarah
mirī hayāt mirī kā.enāt ke mālik
maiñ chāhtā huuñ tujhe apnī zindagī kī tarah
badan mahak uThe ḳhushbu-e-yār se 'jauhar'
agar hayāt ho phūloñ kī tāzgī kī tarah
main tirgi se guzarta hun raushni ki tarah
mujhe shuur hai jine ka aadmi ki tarah
yahi ada thi yahi naz tha yahi shoKHi
ek aur shaKHs bhi dekha tha aap hi ki tarah
main un se mahw-e-takallum wo mujh se garm-e-suKHan
main zindagi se muKHatib hun zindagi ki tarah
KHata muaf ye milna bhi koi milna hai
tum apne ho ke bhi milte ho ajnabi ki tarah
tera jamal hai aaina-dar-e-zat-o-sifat
tera KHayal hai suraj ki raushni ki tarah
kisi ki yaad ki KHushbu hai misl-e-bu-e-chaman
kisi ki zulf ka saya hai chandni ki tarah
meri hayat meri kaenat ke malik
main chahta hun tujhe apni zindagi ki tarah
badan mahak uThe KHushbu-e-yar se 'jauhar'
agar hayat ho phulon ki tazgi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.