main tere dhyan ke ganw mein nikal aaya hun
maiñ tire dhyān ke gaañv meñ nikal aayā huuñ
dhuup ko chhoḌ ke chhāñv meñ nikal aayā huuñ
us ne hoñToñ ke liye til kī duā māñgī thī
us kī qismat ki maiñ paañv meñ nikal aayā huuñ
ḳhaak par bojh samajhte the zamīñ vaale mujhe
ḳhud ko maiñ le ke ḳhalāoñ meñ nikal aayā huuñ
ab ke barsāt bhī hogī to alag sī hogī
chashm-e-tar le ke ghaTāoñ meñ nikal aayā huuñ
bujh bhī jā.ūñ to koī baat nahīñ hai 'tābish'
itnā kaafī hai havāoñ meñ nikal aayā huuñ
main tere dhyan ke ganw mein nikal aaya hun
dhup ko chhoD ke chhanw mein nikal aaya hun
us ne honTon ke liye til ki dua mangi thi
us ki qismat ki main panw mein nikal aaya hun
KHak par bojh samajhte the zamin wale mujhe
KHud ko main le ke KHalaon mein nikal aaya hun
ab ke barsat bhi hogi to alag si hogi
chashm-e-tar le ke ghaTaon mein nikal aaya hun
bujh bhi jaun to koi baat nahin hai 'tabish'
itna kafi hai hawaon mein nikal aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.