main tere lutf-o-karam ka jab se ras pine laga
maiñ tire lutf-o-karam kā jab se ras piine lagā
bas tabhī se khul ke apnī zindagī jiine lagā
ai bulandī chāhne vaale bhaTak mat aa udhar
mere shānoñ ke sahāre arsh tak ziine lagā
ho ḳhushī koī bhī jā kar paḌ ga.ī tere gale
ġham ho koī bhī vo aa kar bas mire siine lagā
huuk kitnī soz kitnā Tiis kitnī dil meñ hai
ai matā-e-zaḳhm tū ab yuuñ na taḳhmīne lagā
jhuriyāñ chehre kī 'aḳhtar' ye dikhā.eñge tujhe
umr jab Dhalne lage ghar meñ na ā.īne lagā
main tere lutf-o-karam ka jab se ras pine laga
bas tabhi se khul ke apni zindagi jine laga
ai bulandi chahne wale bhaTak mat aa udhar
mere shanon ke sahaare arsh tak zine laga
ho KHushi koi bhi ja kar paD gai tere gale
gham ho koi bhi wo aa kar bas mere sine laga
huk kitni soz kitna Tis kitni dil mein hai
ai mata-e-zaKHm tu ab yun na taKHmine laga
jhuriyan chehre ki 'aKHtar' ye dikhaenge tujhe
umr jab Dhalne lage ghar mein na aaine laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.