main tere waste laDte hue mara jata
maiñ tire vāste laḌte hue maarā jaatā
ishq vāloñ meñ mohabbat se pukārā jaatā
sang se shīsha banāte haiñ banāne vaale
koī hotā to mire dil ko sudhārā jaatā
yaar logoñ ne bichhaḌne meñ bahut jaldī kī
saath chalte to muqaddar bhī sañvārā jaatā
maiñ mohabbat ke qabīle kā payambar hotā
tū sahīfe kī tarah mujh pe utārā jaatā
terī āñkhoñ se koī nazm tarāshī jaatī
tere hoñToñ se koī sher ubhārā jaatā
chāhtā maiñ to use chhoḌ ke jā saktā thā
gaañv miT jaatā jo dariyā kā kināra jaatā
ab koī aur vasīla mire jiine ke liye
ab tirā hijr nahīñ mujh se guzārā jaatā
main tere waste laDte hue mara jata
ishq walon mein mohabbat se pukara jata
sang se shisha banate hain banane wale
koi hota to mere dil ko sudhaara jata
yar logon ne bichhaDne mein bahut jaldi ki
sath chalte to muqaddar bhi sanwara jata
main mohabbat ke qabile ka payambar hota
tu sahife ki tarah mujh pe utara jata
teri aankhon se koi nazm tarashi jati
tere honTon se koi sher ubhaara jata
chahta main to use chhoD ke ja sakta tha
ganw miT jata jo dariya ka kinara jata
ab koi aur wasila mere jine ke liye
ab tera hijr nahin mujh se guzara jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.