main to baiTha tha har ek shai se kinara kar ke
maiñ to baiThā thā har ik shai se kinārā kar ke
vaqt ne chhoḌ diyā mujh ko tumhārā kar ke
baat dariyā bhī kabhī ruk ke kiyā kartā thā
ab to har mauj guzartī hai ishāra kar ke
ik diyā aur jalāyā hai sahar hone tak
shab-e-hijrāñ kā tire naam sitārā kar ke
jab se jaagī hai tire lams kī ḳhvāhish dil meñ
rahnā paḌtā hai mujhe ḳhud se kināra kar ke
dasht chhānegā tirī ḳhāk-e-mohabbat se 'sa'īd'
'ishq dekhegā tujhe saare kā saarā kar ke
main to baiTha tha har ek shai se kinara kar ke
waqt ne chhoD diya mujh ko tumhaara kar ke
baat dariya bhi kabhi ruk ke kiya karta tha
ab to har mauj guzarti hai ishaara kar ke
ek diya aur jalaya hai sahar hone tak
shab-e-hijran ka tere nam sitara kar ke
jab se jagi hai tere lams ki KHwahish dil mein
rahna paDta hai mujhe KHud se kinara kar ke
dasht chhanega teri KHak-e-mohabbat se 'sa'id'
'ishq dekhega tujhe sare ka sara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.